Raja Yeshu aaya Shaitan se jeetne ke liye Lyrics | राजा यीशु आया शैतान से जीतने के लिए लिरिक्स
Hindi (हिंदी )Lyrics
राजा यीशु आया,
राजा यीशु आया
शैतान से जीतने के लिए,
राजा यीशु आया ।
1. दुनिया में तो पाप
और दुःख होते हैं बहुतेरे
पूरी शान्ति देने के
लिए राजा यीशु आया ।
2. देके क्रूस पर अपनी जान,
अपना दिया बलिदान
सारे जग का त्राता होके
राजा यीशु आया ।
3. हुआ मैं आनन्दित
पाकर पापों की माफी
दिल को साफ करने के
लिए राजा यीशु आया ।
4. राजा यीशु आया
मेरे दिल में आया
मुझको मुक्ति देने के
लिए राजा यीशु आया
English (Hinglish) Lyrics
Raja Yeshu aaya,
Raja Yeshu aaya
Shaitan se jeetne ke liye,
Raja Yeshu aaya.
1. Duniya mein toh paap
Aur dukh hote hain bahutere
Poori shaanti dene ke
Liye Raja Yeshu aaya.
2. Deke krus par apni jaan,
Apna diya balidaan
Saare jag ka traata hoke
Raja Yeshu aaya.
3. Hua main aanandit
Paakar paapon ki maafi
Dil ko saaf karne ke
Liye Raja Yeshu aaya.
4. Raja Yeshu aaya
Mere dil mein aaya
Mujhko mukti dene ke
Liye Raja Yeshu aaya.
Song Credit
Song - Raja Yeshu aaya
Singer- Unknown
Written by-Unknown

